Sunday, 7 February 2016

Astrology mein mithak (Common myths in astrology)

Astrology mein mithak (Common myths in astrology)
..............................................................................
Kuch baten kuch kacche astrologers proyag karte hain . Lekin ye baten satya nahin hain. Astrology mein kuch "Mithak" (myth) nimana-likhit hain  :-

1. "Uccha Grah agar Vakri ho to neech ka phal pradan karta hai."
Lekin ye baat satya nahin hai . Maine kai kundaliyan dekhi hain jahan aisa grah accha phal deta hai.

2. "Shooka 7th sthan mein kharab phal deta hai "
Lekin ye satya nahin hai. Maine kai kundaliyon mein Shookra ko 7th asthan mein accha phal dete hue dekha hai. Poorna kundali aur Navansh kundali ko dekh kar hi bataya ja sakta hai ki Vaivahik jeevan sukhi hoga ya nahin.

3. "Guru 7th sthan mein kharab phal deta hai "
Lekin ye satya nahin hai. Maine kai kundaliyon mein Guru ko 7th sthan mein accha phal dete hue dekha hai. Poorna kundali aur Navansh kundali ko dekh kar hi bataya ja sakta hai ki Vaivahik jeevan sukhi hoga ya nahin.
Gandhi ji ki kundali mein Guru 7th Sthan mein hai !

4. " Guru 5th sthan mein Santan nahin deta hai"
Ye jhooth baath hai. Maine kai kundaliyon mein Guru ko 5th mein accha phal ya santan sukh dete hue dekha hai. Poorna kundali aur Navansh kundali ko dekh kar hi bataya ja sakta hai ki Santan sukh hoga ya nahin.

5. "Guru jis sthan mein hota hai usmen kharab phal deta hai"
Bilkul jhooth aur bakwas baat hai ye.

6. "Sani jis sthan mein hota hai usmen accha phal deta hai"
Bilkul jhooth aur bakwas baat hai ye.

Thanks & regards.Contact me for consultation www.facebook.com/astro.shukla

No comments:

Post a Comment